Thursday, April 22, 2010
Garmi > The Hot
garmi ne to qahar dha diya hai, itni honi na chahiye jitni hai. asal me galti insan ki b hai, kuchh majburi hai. kahne ko to bol dete hain ki is chij ka prayog na karo, us chij ka prayog na karo, par ek baat dekhi, ve hi sabse jyada use karte hain us chij ka. scientist bolte hain ki plastic ka use na karo, us time na bataya ki is se paryavaran ko haani hogi. agar unko pata tha to q banaya plastic ko. hawa main to bani nahi ye chij. kai log hain, ye bolege ki AC ki gas vatavaran ko kharab karti hai, par ve hi vehicle me, office me, ghar me baithte hi bolege :- AC ON, GARMI GONE. ek se maine puchha ki garmi kam kaise kare, to bola ki sarkaar ka dosh hai sara. main bola ki q, sarkaar garmi thodi badha rahi hai, to bola ki itne rocket plane hawa me udte hain to koi to suraj ko bol de ja ki thoda upar chala ja bhai. sarkaar ko ek aayog banana chaiye. jaise chand se connect hai, vaise hi suraj se b direct connection hona chahiye. uski baat sun kar mera dimag kharab ho gaya. main sarak liya vaha se.
I P L
aaj kal charo taraf 1 hi baat uth rahi hai. IPL IPL. isme kala paisa laga hai. samacharo k har channel par, har jagah yahi mudda. abhi kai adhikari bol rahe hain ki isme 2 no. ka paisa laga hai, par ye b to socho ki ye paisa aaya kaha se, is paise ko lagane wale b to yahi k hain. jab ve is paise ko kama rahe the tab koi na bola, ki pahle to tere paas kuchh b na tha, ab itna kaha se aa gaya. sabko pata hai ki bigadna kisi ka kuchh b na hai. koi meetting attend na kar raha hai, koi isko illigal bata raha hai. unka b kuchh na hona jana. lekin ek baat to hai, is chakkar me ye IPL jarur hit ho gaya hai. aage walo ka to pata nahi. par ab tak ye superhit hai. mere ko ek hutkla yaad aa gaya ki :- 1 lugai IPL ka match dekhan laag ri thi, uska log aaya, usnai naye kapde pahan rakhe the, itne main kise player nai 6 ran thok diye, vo bola main kisa laggu hu, va chillai :- chhakkaaaa.
Saturday, April 3, 2010
insaniyat
aaj bahut se logo ka ek - dusare par se viswas uth gaya hai. lekin fer b insaniyat jinda hai. q ? qki achchhe logo ka maksad ek hai :- "vasudhaiv kutumbakam".
ek baar main kahi ja raha tha train se. to raste me kuchh log train me chadh gaye. ve kahi job karte the. daily aana-jana tha unka. unhone keertan shuru kar diya, jiske bol mujhe itne lambe arse k baad b yaad hain :-
"kar pyar har insaan se
budhe aur jawan se
k jindagi hai pyar ki
aur pyar hi bhagwan hai"
ek baar main kahi ja raha tha train se. to raste me kuchh log train me chadh gaye. ve kahi job karte the. daily aana-jana tha unka. unhone keertan shuru kar diya, jiske bol mujhe itne lambe arse k baad b yaad hain :-
"kar pyar har insaan se
budhe aur jawan se
k jindagi hai pyar ki
aur pyar hi bhagwan hai"
kayamat ka din
duniya bhar me jagah-2 dikhaya ja raha hai ki december 12 me sab kuchh khatam ho jayega, par kya real me ? aap kya sochte hain is bare me. jiski jindagi jis din khatam ho gayee uske liye to kayamat ka din ushi din hai. par ek baat sochne ki hai. kya ? ki marta vo nahi jo mar jata hai, marte to ve hian jinko vo paal-pos raha tha.
kisi ne theek hi kaha hai :-
"har kisi ko mukammal jaha nahi milta ,
kisi ko jami, to kisi ko aasman nahi milta !
aisa nahi ki tere jahan me pyar ki kami ho,
par jaha ho jarurat, vaha nahi milta !! "
kisi ne theek hi kaha hai :-
"har kisi ko mukammal jaha nahi milta ,
kisi ko jami, to kisi ko aasman nahi milta !
aisa nahi ki tere jahan me pyar ki kami ho,
par jaha ho jarurat, vaha nahi milta !! "
Subscribe to:
Posts (Atom)